Um assubyan
ام الصبيان
kiya hai?
Um assubyan bacho ka mash’hoor maraz hai. Jissay
جده، شهاقته، الحره، ام الليل، الحنفه
ke namo se bhi jana jata hai. Baz ulama aur hukama ke nazdeek iske 7 naam hain aur baaz ke nazdeek 10 aur baz ke nazdeek 12 naam hain. Asal me ye aik boht taqatwar aur khofnak shakal wa surat wali jinn aurat hai. Yeh aik khatarnak jinn aurat hai ke jisper iski nazar karam hojati hai woh tabah wa barbad hojata hai.
Hazrat Sulaiman a.s ne jub isko giraftar kar ke apne darbar me Hazir kiya to isne bataya meri nazar se he dunya me qabrain murdo se bharti jati hain , meri he nazar se log beemar hojate hain. . . . .chote bare mere asar se sookh kar mar jate hain. . . .meri nazar se aurato ki godain khali hojati hain.
Agar kisi doodh bache ko aap dekhian k ussay qay ulti aur dust atay hain. Aankhien andar ko dhans gayi hain taangain bilkul patli aur pait barh gaya ho. Bache ke jism ka rung kabhi laal kabhi peela aur kabhi neela hojata hai to samajh jaayien usko yahi beemari hai. Roohani aur jismani dono ilaj karwain.
Allah swt iske shar se dunya ke tamam logo ko bachaye aur apne hifz wa aman me rakhe! Ameen.